iltifāt-āshnā hijāb tirā
lutf-e-pinhāñ hai ijtināb tirā
kyā milā hai ma.āl-e-bedārī
merī āñkheñ haiñ aur ḳhvāb tirā
dil se kartā huuñ laakh laakh savāl
yaad aatā hai jab javāb tirā
koī dekhe tujhe to kyā dekhe
ki tirā husn hai naqāb tirā
haa.e un laġhzishoñ kī ra.anā.ī
DhūñDhtā hai jinheñ itaab tirā
ishrat-e-dil thī dil kī barbādī
TuuT kar ban gayā rabāb tirā
kis se pūchheñ ki ab kahāñ hai 'ravish'
haa.e vo ḳhānumāñ-ḳharāb tirā