faroġh-e-gul se alag barq-e-āshiyāñ se alag
lagī hai aag yahāñ se alag vahāñ se alag
sukūt-e-nāz ne iz.hār kar diyā jis kā
vo ek baat thī pairāya-e-bayāñ se alag
suneñ to ham bhī zarā jabr-o-iḳhtiyār kī baat
kahāñ kahāñ haiñ ye shāmil kahāñ kahāñ se alag
hamārā haal zamāne se kuchh judā to nahīñ
ye dāstāñ nahīñ duniyā kī dāstāñ se alag
ḳhizāñ kā zikr hī kyā hai ki ai 'ravish' ham ne
bharī bahār guzārī hai gulistāñ se alag