chalā hai le ke mujhe zauq-e-justujū merā
ab intizār kar ai jān-e-ārzū merā
maiñ ban sakā na terā ye bajā sahī lekin
kisī ko kyuuñ ye gumāñ ho nahīñ hai tū merā
havā-e-dasht bahut duur le ga.ī akasr
nahīñ asīr-e-chaman zauq-e-rang-o-bū merā
shikast-e-dil kī talāfī nazar se kyā hogī
Tapak paḌe na tirī aañkh se lahū merā
mirī ġhazal ke liye kaun muntazir hai 'ravish'
pahuñch gayā hai kahāñ shauq-e-guftugū merā