savāl-e-ishq par tā-hashr chup rahnā paḌā mujh ko
har ik ilzām ko hañste hue sahnā paḌā mujh ko
kabhī maġhrūr tūfānoñ ko bhī Thukrā diyā maiñ ne
kabhī ik mauj-e-ġham ke saath hī bahnā paḌā mujh ko
sukūn-e-dil baḌī daulat sahī ai ham-nashīñ lekin
sukūñ pā kar bhī akasr muztarib rahnā paḌā mujh ko
zamāna kis qadar be-gāna-e-rasm-e-mohabbat thā
yahāñ to ḳhud se bhī nā-āshnā rahnā paḌā mujh ko
'ravish' is bazm-e-rañgīñ meñ sukūt-e-ġham kā afsāna
kahā jaatā na thā mujh se magar kahnā paḌā mujh ko