but-gar hai na koī but-shikan hai
sab vahm-o-gumān-e-brahman hai
ye kaun sharīk-e-anjuman hai
āñkhoñ ko bhī hasrat-e-suḳhan hai
āsāñ to hai jū-e-shīr lekin
kuchh aur hī azm-e-kohkan hai
ai ātish-e-dil adab hai lāzim
mujh meñ bhī vo bū-e-pairahan hai
vīrān sī ho chalī haiñ rāheñ
rahbar hai na koī rāhzan hai
e.ajāz-e-ġhazal ki ḳhud 'ravish' se
vo jān-e-kalām ham-suḳhan hai