bāda-e-gul ko sab andoh-rubā kahte haiñ
ashk-e-gul rañg meñ Dhal jaa.e to kyā kahte haiñ
fursat-e-bazm bhī mālūm ki arbāb-e-nazar
shola-e-sham.a ko ham dosh-e-sabā kahte haiñ
ye musalsal tirā paimāñ tirī paimāñ-shikanī
ham ise hāsil-e-paimān-e-vafā kahte haiñ
qasr-e-āzādi-e-insāñ hī sahī mai-ḳhāna
dar-e-mai-ḳhāna kī zanjīr ko kyā kahte haiñ
ye rah-e-ġham ke ḳham-o-pech ajab haiñ jin ko
ḳhush-nazar sāyā-e-gesu-e-rasā kahte haiñ
ishq ḳhud apnī jagah maz.har-e-anvār-e-ḳhudā
aql is soch meñ gum kis ko ḳhudā kahte haiñ
koī kis dil se bhalā un kā burā chāhegā
jo bhale log buroñ ko bhī bhalā kahte haiñ
dil-nashīñ tere sivā koī nahīñ koī nahīñ
kaun haiñ vo jo tujhe dil se judā kahte haiñ
yahī dīvāna jo phūloñ se bhī katrātā hai
kyā isī ko 'ravish'-e-ābla-pā kahte haiñ