Ravish Siddiqi

sukun hai hamnawa-e-iztirab aahista aahista

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
sukūñ hai hamnavā-e-iztirāb āhista āhista
mohabbat ho rahī hai kāmyāb āhista āhista
ajab aalam hai āġhāz-e-surūr-e-ishq kā aalam
uThe jaise ufuq se māhtāb āhista āhista
sarishk-e-ġham kabhī sham-e-judā.ī ko bujhā deñge
yahī taare baneñge āftāb āhista āhista
ḳharāb-e-nargis-e-mastānā āḳhir ho gayā zāhid
rasā hotī hai tāsīr-e-sharāb āhista āhista
nashāt-e-ārzū ḳhvāb-e-tamannā dard-e-mahrūmī
mohabbat ne uThā.e sab hijāb āhista āhista
ba-har-unvāñ musalsal chheḌ hai ab un ke jalvoñ se
bahak niklī nigāh-e-bāryāb āhista āhista
'ravish' rāz-e-mohabbat aaj bhī hai rāz-e-lā-yanhal
ġhalat sābit hue saare javāb āhista āhista
Top Urdushayar.com