Ravish Siddiqi

husn-e-asnam ba-har-lamha fuzun hai ki nahin

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
husn-e-asnām ba-har-lamha fuzūñ hai ki nahīñ
ye mire zauq-e-tamāshā kā fusūñ hai ki nahīñ
kuchh to irshād ho ai tamkinat-e-ān-e-jamāl
ishq shā.ista-e-tahzīb-e-junūñ hai ki nahīñ
ye jahān-e-mai-o-mīnā-o-subū ai vaa.iz
partav-e-nargis-e-mastāna hai kyuuñ hai ki nahīñ
shola-e-sham.a se ḳhākistar-e-parvāna tak
ek hī silsila-e-soz-e-darūñ hai ki nahīñ
halqa-e-bād-e-sabā tazkira-e-zulf-e-sanam
is meñ kuchh shā.eba-e-zauq-e-junūñ hai ki nahīñ
baste jaate haiñ nagar dil haiñ tabāh o vīrāñ
āgahī dushman-e-duniyā-e-sukūñ hai ki nahīñ
ham vo haiñ aaj 'ravish'-e-sāhib-e-dīvān-e-ġhazal
ye sab us chashm-e-suḳhan-go kā fusūñ hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com