ḳhirad ko gumshuda-e-kū-ba-kū samajhte haiñ
ham ahl-e-ishq tujhe rū-ba-rū samajhte haiñ
tire ḳhayāl kī ḳhushbū tire jamāl kā rañg
har ik ko takmila-e-rañg-o-bū samajhte haiñ
koī maqām koī marhala nazar meñ nahīñ
kahāñ hai qāfila-e-ārzū samajhte haiñ
butān-e-shahr ko ye e'tirāf ho ki na ho
zabān-e-ishq kī sab guftugū samajhte haiñ
hazār fitna dar āġhosh hai sukūñ terā
tujhe ham ai dil-e-āshufta-ḳhū samajhte haiñ
hazār manzil-e-nau yak farāġh-e-gumshudagī
ma.āl-e-hausla-e-justujū samajhte haiñ
faqīh-e-shahr se kyā pūchhiye 'ravish' ki janāb
zabān-e-shīsha-o-jām-o-subū samajhte haiñ