Ravish Siddiqi

nikhat-e-zulf ko ham-rishta-e-jaan kahta hun

Ravish Siddiqi

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1909-1971
nik.hat-e-zulf ko ham-rishta-e-jāñ kahtā huuñ
hosh aatā hai to ḳhvāb-e-guzarāñ kahtā huuñ
dard ko daulat-e-sāhab-nazarāñ kahtā huuñ
ġham ko sarmāya-e-īsā-nafasāñ kahtā huuñ
koī samjhe ki na samjhe magar ai sham-e-haram
maiñ tujhe shola-e-ruḳhsār-e-butāñ kahtā huuñ
qatra dariyā hai to kyuuñ shorish-e-dariyā-talabī
har tamannā ko mohabbat kā ziyāñ kahtā huuñ
hai vo āvāz-e-shikast-e-dil-e-gītī jis ko
jaras-e-qāfila-e-umr-e-ravāñ kahtā huuñ
tohmat-e-sabza-e-begāna hai sañg-e-bedād
maiñ to kāñToñ ko bhī phūloñ kī zabāñ kahtā huuñ
kaun samjhegā mire husn-e-yaqīñ kā aalam
arsh o tuubā ko hijābāt-e-gumāñ kahtā huuñ
banda-e-ḳhāk-nashīnān-e-mohabbat huuñ 'ravish'
ḳhaak ko masnad-e-āshufta-sarāñ kahtā huuñ
Top Urdushayar.com