kyā sitam kar ga.ī ai dost tirī chashm-e-karam
jaise tere nahīñ duniyā ke gunahgār haiñ ham
koī aalam ho bahar-hāl guzar jaatā hai
ham na sargashta-e-rāhat haiñ na āshufta-e-ġham
tirī zulfoñ kī ghanī chhāñv bahut duur sahī
jāda-paimā haiñ havādis kī kaḌī dhuup meñ ham
nik.hat-e-gul se kuchh is tarah mulāqāt huī
yaad aayā tirī begāna-vashī kā aalam
ham haiñ tūfān-e-malāmat hai galī hai terī
husn-e-taqdīr se hote haiñ ye hālāt baham
le gayā ishq kisī shāhid-e-nādīda tak
muddatoñ zauq-e-parastish ne tarāshe the sanam
ham ne har uqda-e-dushvār kā muñh chuum liyā
kitne dilkash haiñ tirī zulf-e-girah-gīr ke ḳham
kū-e-qātil hī sahī manzil-e-rāhat na sahī
thak ke baiThe haiñ ki aate haiñ bahut duur se ham
kū-e-jānāñ meñ kahīñ aaj to ham bhī the 'ravish'
shukr hai ham ko na pahchān sake dair o haram