rañg par jab vo bazm-e-nāz aa.ī
ham uThe le ke dard-e-tanhā.ī
kis se pūchheñ tilism-e-hastī meñ
ham tamāshā haiñ yā tamāshā.ī
thā ġham-e-ishq jāñ-gudāz magar
kuchh usī ġham ne kī masīhā.ī
haa.e kis sādgī se sīkhā hai
husn ne ehtimām-e-rānā.ī
āḳhir-e-shab zabān-e-sham.a pe hai
dāstān-e-hujūm-e-tanhā.ī
chand ḳhūnīñ-jigar hue rusvā
muskurāyā chaman bahār aa.ī
chup rahe ham to ḳhuuñ huā dil kā
baat kī hai to aañkh bhar aa.ī
haa.e is daur-e-aql-o-dānish ne
kar diyā aadmī ko saudā.ī
ham chaman meñ na the to ḳhud hī 'ravish'
bū-e-gul dasht tak chalī aa.ī