Zia Faruqi

na wo ghar raha na wo baam-o-dar na wo chilmanen na wo palki

Zia Faruqi

1947
na vo ghar rahā na vo bām-o-dar na vo chilmaneñ na vo pālkī
magar ab bhī merī zabāñ pe hai vahī dāstāñ sin-o-sāl kī
chalo bāl-o-par ko sameT leñ kareñ fikr ab kisī Daal kī
ye ġhurūb-e-mehr kā vaqt hai ye ghaḌī hai din ke zavāl kī
sabhī mausamoñ se guzar gayā koī bojh dil pe liye hue
mujhe raas aa.ī na rut koī na vo hijr kī na visāl kī
thā diloñ kā ye bhī ik imtihāñ ki takallufāt the darmiyāñ
mujhe Dar thā us ke javāb kā use fikr mere savāl kī
jo chale to rāh-e-amāñ nahīñ jo ruke to manzileñ kho ga.iiñ
tirī rahguzar bhī ajiib hai tirī manzileñ bhī kamāl kī
mire zaḳhm saare mahak uThe jo chalī havā-e-nihāl-e-ġham
koī dasht-e-jāñ se guzar gayā uThī gard tere ḳhayāl kī
vo mujhe milā bhī to is tarah mileñ jaise shams-o-qamar 'ziyā'
thā jo lamha is ke uruuj kā vo ghaḌī thī mere zavāl kī
Top Urdushayar.com