mirī zindagī kī kitāb meñ yahī naqsh haiñ mah-o-sāl ke
vo shagufta rañg uruuj ke ye shikasta rañg zavāl ke
tire husn se mire ishq tak ye jo nisbatoñ ke haiñ silsile
ye shajar haiñ ek hī baaġh ke ye samar haiñ ek hī Daal ke
maiñ sunā.ūñ kyā koī dāstāñ ki subūt-e-ġham bhī nahīñ rahā
mire ishq naame ko le gayā koī tāq-e-jāñ se nikāl ke
mire baaġh meñ vo gulāb thā ki mahak rahā thā chaman chaman
vo jo gum huā to bikhar ga.e sabhī rañg huzn-o-malāl ke
koī ḳhvāb hai na ḳhayāl hai koī aarzū hai na justujū
ye kahāñ hai lā ke biThā diyā mujhe qaid-e-jāñ se nikāl ke
maiñ bhaTak rahā thā jihat jihat tire naqsh-e-pā kī talāsh meñ
mire saath saath chalā kiye ka.ī aks ḳhvāb-o-ḳhayāl ke
mujhe shāhrāh-e-hayat par ka.ī aise ghar bhī mile 'ziyā'
jahāñ qumqume na jale kabhī na vo hijr ke na visāl ke