Zia Faruqi

ghubar uDta raha karwan ruka hi nahin

Zia Faruqi

1947
ġhubār uḌtā rahā kārvāñ rukā hī nahīñ
vo kho gayā to mujhe phir kabhī milā hī nahīñ
gavāh haiñ mire ghar ke ye bām-o-dar saare
ki tere ba.ad yahāñ dūsrā rahā hī nahīñ
na koī dar na darīcha na rauzan-o-dīvār
kahāñ se aa.e havā koī rāstā hī nahīñ
hazār rañg bhare laakh ḳhāl-o-ḳhad khīñche
sarāpā terā mukammal kabhī huā hī nahīñ
tamām raat ye āñkheñ talāsh kartī rahīñ
mirā sitāra magar āsmāñ pe thā hī nahīñ
maiñ kyā karūñ ye tirī sabz vādiyāñ le kar
yahāñ vo phuul jise dil kahīñ khilā hī nahīñ
'ziyā' maiñ ḳhud ko ye samjhā rahā huuñ barsoñ se
ki ye jahān tire vāste banā hī nahīñ
Top Urdushayar.com