Zia Faruqi

zamin thi saKHt mujhe koi naqsh-e-pa na mila

Zia Faruqi

1947
zamīñ thī saḳht mujhe koī naqsh-e-pā na milā
tirī galī se jo niklā to rāsta na milā
duā thī chīḳh thī yā ehtijāj thā kyā thā
hile the hoñT magar harf-e-mudda.ā na milā
badan kī qaid se chhūTā to log pahchāne
tamām-umr kisī ko mirā patā na milā
maiñ chāhtā thā ki tevar bhī dekh le mere
ġhanīm jab bhī milā mujh se ġhā.ebāna milā
nafas nafas koī mujh ko pukārtā kyuuñ hai
nazar ko jab ki basārat kā zā.iqa na milā
ye bazm-e-sh.er-o-adab hai ki kūcha-e-bad-nām
yahāñ to jo bhī milā hai munāfiqāna milā
mile haiñ yuuñ to bahut tishnagī ke dasht 'ziyā'
koī bhī dasht magar misl-e-karbalā na milā
Top Urdushayar.com