Zia Faruqi

ek muddat se nahin dekhi hai ghar ki surat

Zia Faruqi

1947
ek muddat se nahīñ dekhī hai ghar kī sūrat
gardisheñ aaj bhī lipTī haiñ safar kī sūrat
qafas-e-jāñ meñ na rauzan hai na dar kī sūrat
kaise dekhūñ maiñ yahāñ shams-o-qamar kī sūrat
ab yahī jañg kā unvān bhī ho saktā hai
us ne patthar koī pheñkā hai ḳhabar kī sūrat
maañ kī āġhosh se paivand-e-zamīñ hone tak
ā.īne ham ne tarāshe haiñ safar kī sūrat
makaḌiyāñ apne hī jāloñ meñ phañsī baiThī haiñ
abhī kal tak to na thī ye mere ghar kī sūrat
roz aḳhbār uThāte haiñ yahī soch ke ham
koī muzhda nazar aa.e to ḳhabar kī sūrat
ham 'ziyā' sar ko bachā.eñ to bachā.eñ kaise
us kā har vaar numāyāñ hai hunar kī sūrat
Top Urdushayar.com