sansār se bhāge phirte ho bhagvān ko tum kyā pāoge
is lok ko bhī apnā na sake us lok meñ bhī pachhtāoge
ye paap hai kyā ye pun hai kyā rītoñ par dharm kī mohreñ haiñ
har yug meñ badalte dharmoñ ko kaise ādarsh banāoge
ye bhog bhī ek tapasyā hai tum tyaag ke maare kyā jaano
apmān rachaitā kā hogā rachnā ko agar Thukrāoge
ham kahte haiñ ye jag apnā hai tum kahte ho jhūTā sapnā hai
ham janm bitā kar jā.eñge tum janm gañvā kar jāoge