tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham
Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham
māyūsī-e-ma.āl-e-mohabbat na pūchhiye
apnoñ se pesh aa.e haiñ begānagī se ham
lo aaj ham ne toḌ diyā rishta-e-umīd
lo ab kabhī gila na kareñge kisī se ham
ubhreñge ek baar abhī dil ke valvale
go dab ga.e haiñ bār-e-ġham-e-zindagī se ham
gar zindagī meñ mil ga.e phir ittifāq se
pūchheñge apnā haal tirī bebasī se ham
allāh-re fareb-e-mashiyyat ki aaj tak
duniyā ke zulm sahte rahe ḳhāmushī se ham