Sahir Ludhianvi

hawas-nasib nazar ko kahin qarar nahin

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
havas-nasīb nazar ko kahīñ qarār nahīñ
maiñ muntazir huuñ magar terā intizār nahīñ
hamīñ se rañg-e-gulistāñ hamīñ se rañg-e-bahār
hamīñ ko nazm-e-gulistāñ pe iḳhtiyār nahīñ
abhī na chheḌ mohabbat ke giit ai mutrib
abhī hayāt kā māhaul ḳhush-gavār nahīñ
tumhāre ahd-e-vafā ko maiñ ahd kyā samjhūñ
mujhe ḳhud apnī mohabbat pe e'tibār nahīñ
na jaane kitne gile is meñ muztarib haiñ nadīm
vo ek dil jo kisī kā gila-guzār nahīñ
gurez kā nahīñ qaa.il hayāt se lekin
jo sach kahūñ ki mujhe maut nāgavār nahīñ
ye kis maqām pe pahuñchā diyā zamāne ne
ki ab hayāt pe terā bhī iḳhtiyār nahīñ
Top Urdushayar.com