ab aa.eñ yā na aa.eñ idhar pūchhte chalo
kyā chāhtī hai un kī nazar pūchhte chalo
ham se agar hai tark-e-ta.alluq to kyā huā
yaaro koī to un kī ḳhabar pūchhte chalo
jo ḳhud ko kah rahe haiñ ki manzil-shanās haiñ
un ko bhī kyā ḳhabar hai magar pūchhte chalo
kis manzil-e-murād kī jānib ravāñ haiñ ham
ai rah-ravān-e-ḳhāk-basar pūchhte chalo