tamāshā-gāh hai yā ālam-e-be-rañg-o-bū kyā hai
maiñ kis se pūchhne jā.ūñ ki mere rū-ba-rū kyā hai
basārat kah rahī hai kuchh nahīñ is dasht-e-vahshat meñ
samā.at pūchhtī hai phir ye āḳhir hāv-hū kyā hai
ye kis kī āmad-o-shud se havā.eñ raqs kartī haiñ
ye kyuuñ mausam badalte haiñ miyān-e-rañg-o-bū kyā hai
dar-o-dīvār kyā kahte haiñ ghar kis ko bulātā hai
guzarte mausamoñ se bām-o-dar kī guftugū kyā hai
dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā mujhe us paar kā manzar
ye ik dīvār jaisī chashm-e-tar ke rū-ba-rū kyā hai
maiñ us ke sāmne ik ā.īna le jā ke rakh dūñgā
'ziyā' apnī zabāñ se kyuuñ kahūñ us se ki tū kyā hai