Sahir Ludhianvi

ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
poñchh kar ashk apnī āñkhoñ se muskurāo to koī baat bane
sar jhukāne se kuchh nahīñ hotā sar uThāo to koī baat bane
zindagī bhiik meñ nahīñ miltī zindagī baḌh ke chhīnī jaatī hai
apnā haq sañg-dil zamāne se chhīn paao to koī baat bane
rañg aur nasl zaat aur maz.hab jo bhī hai aadmī se kamtar hai
is haqīqat ko tum bhī merī tarah maan jaao to koī baat bane
nafratoñ ke jahān meñ ham ko pyaar kī bastiyāñ basānī haiñ
duur rahnā koī kamāl nahīñ paas aao to koī baat bane
Top Urdushayar.com