bahut ghuTan hai koī sūrat-e-bayāñ nikle
agar sadā na uThe kam se kam fuġhāñ nikle
faqīr-e-shahr ke tan par libās baaqī hai
amīr-e-shahr ke armāñ abhī kahāñ nikle
haqīqateñ haiñ salāmat to ḳhvāb bahutere
malāl kyuuñ ho ki kuchh ḳhvāb rā.egāñ nikle
udhar bhī ḳhaak uḌī hai idhar bhī ḳhaak uḌī
jahāñ jahāñ se bahāroñ ke kārvāñ nikle
sitam ke daur meñ ham ahl-e-dil hī kaam aa.e
zabāñ pe naaz thā jin ko vo be-zabāñ nikle