ahl-e-dil aur bhī haiñ ahl-e-vafā aur bhī haiñ
ek ham hī nahīñ duniyā se ḳhafā aur bhī haiñ
ham pe hī ḳhatm nahīñ maslak-e-shorīda-sarī
chāk-e-dil aur bhī haiñ chāk-e-qabā aur bhī haiñ
kyā huā gar mire yāroñ kī zabāneñ chup haiñ
mere shāhid mire yāroñ ke sivā aur bhī haiñ
sar salāmat hai to kyā sañg-e-malāmat kī kamī
jaan baaqī hai to paikān-e-qazā aur bhī haiñ
munsif-e-shahr kī vahdat pe na harf aa jaa.e
log kahte haiñ ki arbab-e-jafā aur bhī haiñ