jurm-e-ulfat pe hameñ log sazā dete haiñ
kaise nādān haiñ sho.aloñ ko havā dete haiñ
ham se dīvāne kahīñ tark-e-vafā karte haiñ
jaan jaa.e ki rahe baat nibhā dete haiñ
aap daulat ke tarāzū meñ diloñ ko tauleñ
ham mohabbat se mohabbat kā sila dete haiñ
taḳht kyā chiiz hai aur la.al-o-javāhar kyā haiñ
ishq vaale to ḳhudā.ī bhī luTā dete haiñ
ham ne dil de bhī diyā ahd-e-vafā le bhī liyā
aap ab shauq se de leñ jo sazā dete haiñ