Sahir Ludhianvi

toD lenge har ek shai se rishta toD dene ki naubat to aae

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
toḌ leñge har ik shai se rishta toḌ dene kī naubat to aa.e
ham qayāmat ke ḳhud muntazir haiñ par kisī din qayāmat to aa.e
ham bhī suqrāt haiñ ahd-e-nau ke tishna-lab hī na mar jaa.eñ yaaro
zahr ho yā mai-e-ātishīñ ho koī jām-e-shahādat to aa.e
ek tahzīb hai dostī kī ek meyār hai dushmanī kā
dostoñ ne muravvat na sīkhī dushmanoñ ko adāvat to aa.e
rind raste meñ āñkheñ bichhā.eñ jo kahe bin sune maan jaa.eñ
nāseh-e-nek-tīnat kisī shab sū-e-kū-e-malāmat to aa.e
ilm o tahzīb tārīḳh o mantiq log socheñge in mas.aloñ par
zindagī ke mashaqqat-kade meñ koī ahd-e-farāġhat to aa.e
kaañp uTTheñ qasr-e-shāhī ke gumbad thartharā.e zamīñ mābadoñ kī
kūcha-gardoñ kī vahshat to jaage ġham-zadoñ ko baġhāvat to aa.e
Top Urdushayar.com