apne hone kā har ik lamha patā detī huī
yaad haiñ mujh ko vo do āñkheñ sadā detī huī
umr-bhar kī hasrateñ laade thakī-māñdī hayāt
jā rahī hai jaane kis kis ko duā detī huī
dil kā har ik hukm sar-āñkhoñ pe lekin kyā kareñ
ye jo hai ik aql apnā faisla detī huī
dekhte hī dekhte uḌne lagī bastī meñ ḳhaak
ik ḳhabar aa.ī thī sho.aloñ ko havā detī huī
umr-bhar kī justujū kā hai yahī hāsil 'ziyā'
ek dīvār-e-tahayyur aasrā detī huī