Sahir Ludhianvi

tarab-zaron pe kya biti sanam-KHanon pe kya guzri

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
tarab-zāroñ pe kyā biitī sanam-ḳhānoñ pe kyā guzrī
dil-e-zinda tire marhūm armānoñ pe kyā guzrī
zamīñ ne ḳhuun uglā āsmāñ ne aag barsā.ī
jab insānoñ ke dil badle to insānoñ pe kyā guzrī
hameñ ye fikr un kī anjuman kis haal meñ hogī
unheñ ye ġham ki un se chhuT ke dīvānoñ pe kyā guzrī
mirā ilhād to ḳhair ek la.anat thā so hai ab tak
magar is ālam-e-vahshat meñ īmānoñ pe kyā guzrī
ye manzar kaun sā manzar hai pahchānā nahīñ jaatā
siyah-ḳhānoñ se kuchh pūchho shabistānoñ pe kyā guzrī
chalo vo kufr ke ghar se salāmat aa ga.e lekin
ḳhudā kī mumlikat meñ soḳhta-jānoñ pe kyā guzrī
Top Urdushayar.com