Sahir Ludhianvi

dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
ai rūh-e-asr jaag kahāñ so rahī hai tū
āvāz de rahe haiñ payambar salīb se
is reñgtī hayāt kā kab tak uThā.eñ baar
bīmār ab ulajhne lage haiñ tabīb se
har gaam par hai majma-e-ushshāq muntazir
maqtal kī raah miltī hai kū-e-habīb se
is tarah zindagī ne diyā hai hamārā saath
jaise koī nibāh rahā ho raqīb se
Top Urdushayar.com