sansār kī har shai kā itnā hī fasāna hai
ik dhund se aanā hai ik dhund meñ jaanā hai
ye raah kahāñ se hai ye raah kahāñ tak hai
ye raaz koī raahī samjhā hai na jaanā hai
ik pal kī palak par hai Thahrī huī ye duniyā
ik pal ke jhapakne tak har khel suhānā hai
kyā jaane koī kis par kis moḌ par kyā biite
is raah meñ ai raahī har moḌ bahānā hai
ham log khilaunā haiñ ik aise khilāḌī kā
jis ko abhī sadiyoñ tak ye khel rachānā hai