har tarah ke jazbāt kā elaan haiñ āñkheñ
shabnam kabhī sho.ala kabhī tūfān haiñ āñkheñ
āñkhoñ se baḌī koī tarāzū nahīñ hotī
tultā hai bashar jis meñ vo mīzān haiñ āñkheñ
āñkheñ hī milātī haiñ zamāne meñ diloñ ko
anjān haiñ ham tum agar anjān haiñ āñkheñ
lab kuchh bhī kaheñ is se haqīqat nahīñ khultī
insān ke sach jhuuT kī pahchān haiñ āñkheñ
āñkheñ na jhukīñ terī kisī ġhair ke aage
duniyā meñ baḌī chiiz mirī jaan! haiñ āñkheñ