ḳhuddāriyoñ ke ḳhuun ko arzāñ na kar sake
ham apne jauharoñ ko numāyāñ na kar sake
ho kar ḳharāb-e-mai tire ġham to bhulā diye
lekin ġham-e-hayāt kā darmāñ na kar sake
TuuTā tilism-e-ahd-e-mohabbat kuchh is tarah
phir aarzū kī sham.a firozāñ na kar sake
har shai qarīb aa ke kashish apnī kho ga.ī
vo bhī ilāj-e-shauq-e-gurezāñ na kar sake
kis darja dil-shikan the mohabbat ke hādse
ham zindagī meñ phir koī armāñ na kar sake
māyūsiyoñ ne chhīn liye dil ke valvale
vo bhī nashāt-e-rūh kā sāmāñ na kar sake