maiñ zinda huuñ ye mushtahar kījiye
mire qātiloñ ko ḳhabar kījiye
zamīñ saḳht hai āsmāñ duur hai
basar ho sake to basar kījiye
sitam ke bahut se haiñ radd-e-amal
zarūrī nahīñ chashm tar kījiye
vahī zulm bār-e-digar hai to phir
vahī jurm bār-e-digar kījiye
qafas toḌnā baad kī baat hai
abhī ḳhvāhish-e-bāl-o-par kījiye