nafas ke loch meñ ram hī nahīñ kuchh aur bhī hai
hayāt sāġhar-e-sam hī nahīñ kuchh aur bhī hai
tirī nigāh mire ġham kī pāsdār sahī
mirī nigāh meñ ġham hī nahīñ kuchh aur bhī hai
mirī nadīm mohabbat kī rif.atoñ se na gir
buland bām-e-haram hī nahīñ kuchh aur bhī hai
ye ijtināb hai aks-e-shu.ūr-e-mahbūbī
ye ehtiyāt-e-sitam hī nahīñ kuchh aur bhī hai
idhar bhī ek uchaTtī nazar ki duniyā meñ
faroġh-e-mahfil-e-jam hī nahīñ kuchh aur bhī hai
na.e jahān basā.e haiñ fikr-e-ādam ne
ab is zamīñ pe iram hī nahīñ kuchh aur bhī hai
mire shu.ūr ko āvāra kar diyā jis ne
vo marg-e-shādī-o-ġham hī nahīñ kuchh aur bhī hai