go maslak-e-taslīm-o-razā bhī hai koī chiiz
par ġhairat-arbāb-e-vafā bhī hai koī chiiz
khultā hai har ik ġhuncha-e-nau-josh-e-numū se
ye sach hai magar lams-e-havā bhī hai koī chiiz
ye be-ruḳhī-e-fitrat mahbūb ke shākī
itnā bhī na samjhe ki adā bhī hai koī chiiz
ibrat-kada-e-dahr meñ ai tārik-e-duniyā
lazzat-kada-e-jurm-o-ḳhatā bhī hai koī chiiz
lapkegā garebāñ pe to mahsūs karoge
ai ahl-e-duval dast-e-gadā bhī hai koī chiiz