Sahir Ludhianvi

aqaed wahm hain mazhab KHayal-e-KHam hai saqi

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
aqā.ed vahm haiñ maz.hab ḳhayāl-e-ḳhām hai saaqī
azal se zehn-e-insāñ basta-e-auhām hai saaqī
haqīqat-āshnā.ī asl meñ gum-karda raahī hai
urūs-e-āgahī parvurda-e-ib.hām hai saaqī
mubārak ho za.īfī ko ḳhirad kī falsafa-rānī
javānī be-niyāz-e-ibrat-e-anjām hai saaqī
havas hogī asīr-e-halqa-e-nek-o-bad-e-ālam
mohabbat māvarā-e-fikr-e-nañg-o-nām hai saaqī
abhī tak rāste ke pech-o-ḳham se dil dhaḌaktā hai
mirā zauq-e-talab shāyad abhī tak ḳhaam hai saaqī
vahāñ bhejā gayā huuñ chaak karne parda-e-shab ko
jahāñ har sub.h ke dāman pe aks-e-shām hai saaqī
mire sāġhar meñ mai hai aur tire hāthoñ meñ barbat hai
vatan kī sar-zamīñ meñ bhuuk se kohrām hai saaqī
zamāna barsar-e-paikār hai pur-haul sho.aloñ se
tire lab par abhī tak naġhma-e-ḳhayyām hai saaqī
Top Urdushayar.com