sharmā ke yuuñ na dekh adā ke maqām se
ab baat baḌh chukī hai hayā ke maqām se
tasvīr khīñch lī hai tire shoḳh husn kī
merī nazar ne aaj ḳhatā ke maqām se
duniyā ko bhuul kar mirī bāñhoñ meñ jhuul jā
āvāz de rahā huuñ vafā ke maqām se
dil ke muāmle meñ natīje kī fikr kyā
aage hai ishq jurm-o-sazā ke maqām se