har qadam marhala-e-dār-o-salīb aaj bhī hai
jo kabhī thā vahī insāñ kā nasīb aaj bhī hai
jagmagāte haiñ ufuq par ye sitāre lekin
rāsta manzil-e-hastī kā muhīb aaj bhī hai
sar-e-maqtal jinheñ jaanā thā vo jā bhī pahuñche
sar-e-mimbar koī mohtāt ḳhatīb aaj bhī hai
ahl-e-dānish ne jise amr-e-musallam maanā
ahl-e-dil ke liye vo baat ajiib aaj bhī hai
ye tirī yaad hai yā merī aziyat-koshī
ek nashtar sā rag-e-jāñ ke qarīb aaj bhī hai
kaun jaane ye tirā shā.er-e-āshufta-e-mizāj
kitne maġhrūr ḳhudāoñ kā raqīb aaj bhī hai