chehre pe ḳhushī chhā jaatī hai āñkhoñ meñ surūr aa jaatā hai
jab tum mujhe apnā kahte ho apne pe ġhurūr aa jaatā hai
tum husn kī ḳhud ik duniyā ho shāyad ye tumheñ mālūm nahīñ
mahfil meñ tumhāre aane se har chiiz pe nuur aa jaatā hai
ham paas se tum ko kyā dekheñ tum jab bhī muqābil hote ho
betāb nigāhoñ ke aage parda sā zarūr aa jaatā hai
jab tum se mohabbat kī ham ne tab jā ke kahīñ ye raaz khulā
marne kā salīqa aate hī jiine kā shu.ūr aa jaatā hai