ab koī gulshan na ujḌe ab vatan āzād hai
ruuh gañgā kī himāla kā badan āzād hai
khetiyāñ sonā ugā.eñ vādiyāñ motī luTā.eñ
aaj gautam kī zamīñ tulsī kā ban āzād hai
mandiroñ meñ sañkh baaje masjidoñ meñ ho azaañ
shaiḳh kā dharm aur dīn-e-barhaman āzād hai
luuT kaisī bhī ho ab is desh meñ rahne na paa.e
aaj sab ke vāste dhartī kā dhan āzād hai