Sahir Ludhianvi

is taraf se guzre the qafile bahaaron ke

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
is taraf se guzre the qāfile bahāroñ ke
aaj tak sulagte haiñ zaḳhm rahguzāroñ ke
ḳhalvatoñ ke shaidā.ī ḳhalvatoñ meñ khulte haiñ
ham se pūchh kar dekho raaz parda-dāroñ ke
gesuoñ kī chhāñv meñ dil-navāz chehre haiñ
yā hasīñ dhuñdlakoñ meñ phuul haiñ bahāroñ ke
pahle hañs ke milte haiñ phir nazar churāte haiñ
āshnā-sifat haiñ log ajnabī dayāroñ ke
tum ne sirf chāhā hai ham ne chhū ke dekhe haiñ
pairahan ghaTāoñ ke jism barq-pāroñ ke
shuġhl-e-mai-parastī go jashn-e-nā-murādī thā
yuuñ bhī kaT ga.e kuchh din tere sogvāroñ ke
Top Urdushayar.com