Sahir Ludhianvi

jab kabhi unki tawajjoh mein kami pai gai

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
jab kabhī un kī tavajjoh meñ kamī paa.ī ga.ī
az-sar-e-nau dāstān-e-shauq dohrā.ī ga.ī
bik ga.e jab tere lab phir tujh ko kyā shikva agar
zindagānī baada o sāġhar se bahlā.ī ga.ī
ai ġham-e-duniyā tujhe kyā ilm tere vāste
kin bahānoñ se tabī.at raah par laa.ī ga.ī
ham kareñ tark-e-vafā achchhā chalo yuuñ hī sahī
aur agar tark-e-vafā se bhī na rusvā.ī ga.ī
kaise kaise chashm o aariz gard-e-ġham se bujh ga.e
kaise kaise paikaroñ kī shān-e-zebā.ī ga.ī
dil kī dhaḌkan meñ tavāzun aa chalā hai ḳhair ho
merī nazreñ bujh ga.iiñ yā terī ra.anā.ī ga.ī
un kā ġham un kā tasavvur un ke shikve ab kahāñ
ab to ye bāteñ bhī ai dil ho ga.iiñ aa.ī ga.ī
jur.at-e-insāñ pe go tādīb ke pahre rahe
fitrat-e-insāñ ko kab zanjīr pahnā.ī ga.ī
arsa-e-hastī meñ ab tesha-zanoñ kā daur hai
rasm-e-chañgezī uThī tauqīr-e-dārā.ī ga.ī
Top Urdushayar.com