Sahir Ludhianvi

sadiyon se insan ye sunta aaya hai

Sahir Ludhianvi

Ludhiana, Punjab, India

1921-1980
sadiyoñ se insān ye suntā aayā hai
dukh kī dhuup ke aage sukh kā saayā hai
ham ko in sastī ḳhushiyoñ kā lobh na do
ham ne soch samajh kar ġham apnāyā hai
jhuuT to qātil Thahrā is kā kyā ronā
sach ne bhī insāñ kā ḳhuuñ bahāyā hai
paidā.ish ke din se maut kī zad meñ haiñ
is maqtal meñ kaun hameñ le aayā hai
avval avval jis dil ne barbād kiyā
āḳhir āḳhir vo dil hī kaam aayā hai
itne din ehsān kiyā dīvānoñ par
jitne din logoñ ne saath nibhāyā hai
Top Urdushayar.com