Hiamanshu Panday

dariche hi dariche the koi bhi dar nahin aaya

Hiamanshu Panday

Kota, Rajasthan, India

1998
darīche hī darīche the koī bhī dar nahīñ aayā
sadāoñ kī kamī thī kyā jo tū bāhar nahīñ aayā
agar hai daulatoñ meñ dam ḳharīdo tum mirā saaya
maiñ vo baijū jo akbar ke bulāne par nahīñ aayā
bahut mīThā sā lagtā hai tirī āñkhoñ kā paanī kyoñ
tirī āñkhoñ ke hisse kyā kabhī sāgar nahīñ aayā
hazāroñ log bas ye jism chhū kar lauT jaate haiñ
huā arsa koī is ruuh ke andar nahīñ aayā
hamāre ġham kā paimāna hai ab to ausatan itnā
kabhī mausam bahāroñ kā ziyāda-tar nahīñ aayā
Top Urdushayar.com