ek ham hī nahīñ taqdīr ke maare sāhab
log haiñ baḳht-zada saare ke saare sāhab
merā neze pe sajā sar hai payām-e-ġhairat
koī neze se mirā sar na utāre sāhab
maiñ bhī bachpan meñ ḳhalāoñ kā safar kartā thā
khelā karte the mire saath sitāre sāhab
daf.atan ham ne sila paayā munājātoñ kā
daf.atan sāmne aa.e vo hamāre sāhab
jānvar meñ hayā insāñ se ziyāda dekhī
ulTe bahne lage tahzīb ke dhāre sāhab
mujh meñ duniyā rahī aur maiñ bhī rahā duniyā meñ
mujh ko ghere rahe har vaqt ḳhasāre sāhab
taaki dariyāoñ kī vahshat rahe haavī sab par
Duub jaatā huuñ maiñ dariyā ke kināre sāhab
istaqāmat kā galā ghoñT ke dam lete haiñ
kitne vahshī huā karte haiñ sahāre sāhab
shukriya aap ne bardāsht to kar lī ye ġhazal
aap bhī jā.iye ab ham bhī sidhāre sāhab