Nadeem Sirsivi

jaise hon lashen dafn purane khanDar ki buniyaad tale

Nadeem Sirsivi

jaise hoñ lāsheñ dafn purāne khañDar kī buniyād tale
ehsās dabe haiñ kitne hī mirī nā-gufta rūdād tale
vo zaat to ek hī zaat hai na har lamha jis ko DhūñDhtā hai
momin nūr-e-īmān tale kāfir sañg-e-ilhād tale
imroz-o-fardā karte rahe tum aur yahāñ ahl-e-hasrat
kitne hī kuchle jaate rahe bār-e-yaum-e-mī.ād tale
kal tak na.ara āzādī kā jin ke hoñToñ kī zīnat thā
vo itmīnān se baiThe haiñ ab ḳhud dām-e-sayyād tale
kar zulm bapā lekin tārīḳh kā ye sach apne zehn meñ rakh
kitne hī zālim dafn hue mazlūmoñ kī fariyād tale
ham ġharb-zada zahrīlī fazā kī zad meñ aa hī sakte nahīñ
ham karte haiñ ta.amīr-e-tamaddun tahzīb-e-ajdād tale
vo aql-garāñ ham ishq-garāñ donoñ meñ taqābul kaisā 'nadīm'
donoñ hī azal se rahte haiñ jab fehrist-e-azdād tale
Top Urdushayar.com