Nadeem Sirsivi

mustaqil mahw-e-gham-e-ahd-e-guzishta hona

Nadeem Sirsivi

mustaqil mahv-e-ġham-e-ahd-e-guzishta honā
aise hone se to behtar hai na dil kā honā
maiñ huuñ insāñ mujhe insān hī rahne diije
mat sikhā.eñ mujhe har gaam farishta honā
dekhnī paḌtī haiñ har moḌ pe udhḌī lāsheñ
kitnā dushvār hai is shahar meñ biinā honā
ai musavvir zarā tasvīr meñ manzar ye utaar
do kināroñ ko hai dekhā gayā yakjā honā
haiñ farāham mujhe be-rāh-ravī ke asbāb
zeb degā mujhe āvāra-e-duniyā honā
bastiyāñ shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah haiñ ābād
zinda logoñ ko lubhāne lagā murda honā
ai parī-zād tire hijr meñ ye ham pe khulā
maut se ziyāda alam-baḳhsh hai tanhā honā
ḳhud hī gir jā.egī zindān-e-badan kī dīvār
rūh-e-afsurda ko bechain bhalā kyā honā
khā gayā raunaqeñ paivand-o-marāsim kī 'nadīm'
jins-e-iḳhlās kā bāzār meñ sastā honā
Top Urdushayar.com