Nadeem Sirsivi

surur se aTe hue ai mausam-e-visal ruk

Nadeem Sirsivi

surūr se aTe hue ai mausam-e-visāl ruk
mile darīda-qalb ko sukūn-e-indimāl ruk
ai hairat-e-gulāb-ruḳh tū itnā lā-javāb hai
ki kah uThe savāl se hamāre lab savāl ruk
tujhe gila hai ab vo lazzateñ rahīñ na qurbateñ
maiñ Dāltā huuñ raqs-e-ishq meñ abhī dhamāl ruk
na raas aa.egā koī na dil ko bhā.egā koī
hamāre bin Dasegā tujh ko umr-bhar malāl ruk
paḌegā ran aziyyatoñ kā samt-e-shahr-e-hijr roz
udhar na jā Thahar zarā tū dekh merā haal ruk
maiñ tere hasb-e-idda.ā nahīñ huuñ vo jo thā kabhī
vo thā bhī lauT aa.egā ai mere ham-ḳhayāl ruk
ġhazal-tarāziyāñ mirī nigāh-e-nāz se tirī
ye kar rahī haiñ iltijā na jā mire ġhazāl ruk
havās kho chuke haiñ sab huā 'nadīm' jāñ-balab
tū ab na mere sāmne aa hāsil-e-jamāl ruk
Top Urdushayar.com