Nadeem Sirsivi

mere kashkol mein bas sikka-e-rad hai had hai

Nadeem Sirsivi

mere kashkol meñ bas sikka-e-rad hai had hai
phir bhī ye dil mirā rāzī-ba-madad hai had hai
ġham to haiñ baḳht ke bāzār meñ maujūd bahut
kāsa-e-jism meñ dil ek adad hai had hai
aaj ke daur kā insān ajab hai yārab
lab pe tārīf hai siine meñ hasad hai had hai
thā mirī pusht pe sūraj to ye ehsās huā
mujh se ūñchā to mire saa.e kā qad hai had hai
mustanad mo.atamad-e-dil nahīñ ab koī yahāñ
mahram-e-rāz bhī mahrūm-e-sanad hai had hai
maiñ to tasvīr-e-junūñ ban gayā hotā lekin
mujh ko roke hue bas पास-ए-ख़िरद hai had hai
roz-e-avval hī meñ har had se guzar baiThā aur
chīḳhtā rah gayā hamdam mirā had hai had hai
kab talak ḳhāk-basar bhaTke bhalā bād-e-sabā
ab to har shāḳh pe phūloñ kī lahad hai had hai
rañg-e-iḳhlās bharūñ kaise marāsim meñ 'nadīm'
us kī niyyat bhī mirī tarah se bad hai had hai
Top Urdushayar.com